Saturday, December 22, 2007

Dard-£-Dil


Dard Ki Hawa chal Rahi Hai


Aah dil se nikli he abhi abhi,

Koi phaans chubhi he abhi abhi;
Kuch der to sog manane do yaron,
Akhir chot khaayi he abhi abhi;
Rukte nahi hain ye beqarar aansu,


Koi sathi bichra he abhi abhi;
Samjha ke bhi nahi samajhta ye dil,


Jese koi qayamat giri he abhi abhi;
Dard ki hawa chal rahi he har su,


Jese gham ki andhi uthi he abhi abhi;
Mana ke ayegi phir nayi subah Magar,


Ye to koi raat charhi he abhi abhi;
Teri bhi sunu ga lekin kal mere dost,


Aj jese khud se maat khayi he abhi abhi;
Kyun KHAMOSH he har gali sheher ki?,


Kya koi anhoni ghati he abhi abhi….


Bohot kuch badal jata hai


Bohot kuch badal jata hai
Bohot kuch badal jata haiTere aane ke baad,


Bohot kuch bichar jata haiTere jaane ke baad,

Wo samandar ki leherey,

Wo rait ke mehal,

Bohot kuch beh jata haiSaahil se takra jaane ke baad,

Wo baarish ke moti, Wo taaro ki khuwahish,

Bahut kuch bikhar jata hai Khuwaab toot jaane ke baad,

Wo teri parchaiyon se takrana,

Wo saayon ka lehrana Bahut kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad
Youn teri tammana mere dil ko dukhaati rahi,


jab bhi muskuraana chahaa aankh bhar aati rahi
umeedon ne banaa-banna ke tode mere khwaab


baharon mein dil ki kali khil ke murjhaati rahi….
thar-rati rahi ye sard palken garm ashqon se….


aag paani se mil ke dhuven khoob udaati rahi
na milaa koi saharaa hi na thaama kisi ne haath


zindagi kadam-kadam pe thokaren khaati rahi…
ab kuch nahin hai baaki unki chaahat ke sivaa


aise gaye hain voh ke dil ki har khushi jaati rahi
honth to dekhe mere tune muskuraate ae sanam


zara dekh leta aankh bhi jo ashq bahaati rahi
vo khaa kar gaya tha kasmein ise bhuul jaane ki.


Mujhko phir bhi uski yaad kyon aati rahi…?




Kaise kahein ke jaan se pyara nahi raha

Kaise kahein ke jaan se pyara nahi raha

yeh aur baat ab wo hamara nahi raha

ansoo tere bhi khushk hue aur meray bhi nam

ab kisi nadi ka kinara nahi raha

kuch din tumharay laut ke anay ki aas thi

ab is umeed ka bhi sahara nahi raha

rastay me wo najoom ke tabdil ho gayein

khirkion me ik bhi tara nahi raha

samjhay thay dusro se bahut mukhtaleef

tujhe kya maan lein ke to bhi hamara nahi raha

haaton pe bujh gai hai mukadar ki kehkashanya

rakh hogaya wo sitara nahi raha

tum aetbar us ke liye kyun udas ho

ik shaks jo kabhi bhi tumhara nahi raha….


Khuda Se Jo Maangi Humne Duayen


Aapse kabhi mil na paaye hum phir bichadne ka darr kaisa

meri har dhadkan me aap ho shamil phir aapki judaai ka gham kaisa
deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum unki talaash hain ab har taraf


umr-e-tamaam kisi ke naam kar di humne ab maut se bhi hume ghabraana kaisa
aapki yaad yun jindagi ko mehka de bahaar bankar fiza me rang bhar de


sanwaara hai mujhe aapne is kadar ki patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa
sitaron ki mehfil saji thi har taraf phir bhi roshni ko taras gaye the hum


mahtaab jo ban gaye aap jindagi ke ab andheron ka humse naata kaisa
khuda se jo maangi humne duayen kabool kiya unhone hamaari mohabbat ko


zamana hume ab baddua de bhi toh kya hume ab zamaane se shikwa kaisa




Best Shayari Collection


Sher-o-shayari mein ek alag maza hai, jaise ishq ek haseen saza hai,

jaha milan pe jitni khushi,utna he judai pe hota hai gum,

tabhi aashiq banta hai shayar aur shayari uski sanam
shayari ka kaam hamne kaha roka hai shayari padhne se,


na likh pao tau harz nahi sirf sunne mein,likho ya suno

kya farq padta hai..shayari tau lagi rehti hai dil’o ko chu’ne mein
zindagi………..jine ka gum jeene wala jane,tanhai ka gum tanha jane,


hum bs itna samajhte hai,yeh tanhaiyan bhi zindagi hai,yeh zindagi bhi zindagi hai..
Dekha tujhe to rooh khush ho gayi,Ek kami thi vo bhi puri ho gayi,


Pagal hain vo log jo kehte hain ki,Chimpanzi ki aakhri nasal kahin kho gayi!!
Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum Doob kar jisme marr jaoo vo River ho tum Mere jeevan mein ab to forever ho tum…
Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai Bandar jab koi aas-paas hota hai..
MUSKURANA hi to KHUSHI nahi hoti,UMAR bitana hi to ZINDAGI nahi hoti.


Khud ko MITANA padta hai DOSTI mein,Kyunki DOST kehna hi to DOSTI nahi hoti




Jis din se juda wo humse hua


jis din se juda wo humse hua jis din se juda wo humse hoye,is dil ne dharakna chhod dia

hai chand ka mun utra utra,taroan ne chamakna chhod diya
wo saath humaray hota tha, berut hi bahar aa jati thi


ab lakh baharein ayein magar,phoolon ne mehakna chhod diya
ik din ye dua mangi hum ne,taqadeer balday ey- malik!awaaz yeh ayee k hum ne,
takdeer likhna chhod diya.

No comments: